Baat Hai Kuch zehen me, jo kehni hai na jane kabse,
Mauke ki talaash me, kahin zindagi hi na nikal jaye..
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Kuch baatein aisi bhi jinhe sunne ki aas hai
Intezaar karte karte ye lamhe na nikal jaye
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Kuch aise log bhi hai, jinse milne ki khwahish hai,
Daudti bhagti zindagi me, samay hi na mil paye..
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Meelon k faasle hai, kuch dilo ke to kuch raston ke
Choti moti karwahat me kahi milna hi na bhul jaye
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Ruthe kuch Yaar Hai, jinse maafi mangni hai
Par mai ki aad me, kabhi pehal hi na ho paye
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Kuch log aise bhi, jinse najane kis Baat ki naarazgi hai
Maaf kar aage badhne ka khyal na jane aaye ya naa aaye
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Kuch bada haasil karne ki chah me,
Choti choti khushiyan ghum na ho jaye
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Dusre ki kamiyan to duniya jaanti hai,
Par apni kamiyaan door krne me nakamiyaab na ho jaye,
Waqt hi kuch aisa hai, kahi der na ho jaaye
Kisi Se kuch kehna hai to kisi se kuch sunna hai
Kisi Se milna hai to kisi ko milana hai
Kisi Se maafi mangni hai to kisi ko maaf karna hai
Kuch paana hai to kucch khona hai
Kahi der na ho jaaye, Waqt hi kuch aisa hai
Kahi der na ho jaaye..


What’s your thought about it?