Nazarandaaz hona koi asaan nahi
Duniya ki nazar me jaha chupaye kuch chupta nahi
Us duniya me Nazarandaaz hona
Koi asaan nahi
Manzil pe pohonch kr jeet hasil karna to asaan hai
Magar us jeet ka Nazarandaaz hojana
Aur us Nazarandaazi ko paar kar pana
Koi asaan nahi
Kabil na hote hue bhi mauka milna asaan hai
Hunar hote hue bhi kabiliyat ka Nazarandaaz ho jana
Aur us Nazarandaazi ko bhool fir aage badh pana
Koi asaan nahi
Na Na hote hue bhi aakhir me milna asaan hai
Han han hote hue bhi kisi kashmakash me reh jana
Aur aage badhti duniya ki nazar me fir khi piche reh jana
Dost, nazarandaaz hona koi asaan nahi


What’s your thought about it?